Tumhari Nazar Kyun Khafa

tumhari nazar kyun khafa ho gayi
khata baksh do gar khata ho gayi (2)

hamara iraada to kuch bhi na tha
tumhari khata khud sazaa ho gayi

sazaa hi sahi aaj kuch to mila hai
sazaa mein bhi ek pyar ka silsila hai (2)
mohabbat ka ab kuch bhi anjaam ho
mulaqaat ki ibtida ho gayi (tum)

mulaqaat par itne magaroor kyun ho
humari khushamad pe majboor kyun ho (2)
manane ki aadat kahan pad gayi
sataane ki taalim kya ho gayi (tum)

sataate na hum to manate hi kaise
tumhein apne nazdeek laate hi kaise (2)
is din ka chaahat ko armaan tha
kubul aaj din ki dua ho gayi (tum)

Tumhari Nazar Kyun Khafa Tamil Text